Arijit Singh
Here some of songs with video and the movie name, covered by him:
1. Channa Mereya in Aye dil Hai Muskil
Accha chalta hoon
Duaaon mein yaad rakhna
Mere zikr ka zubaan pe swaad rakhna
Accha chalta hoon
Duaaon mein yaad rakhna
Mere zikr ka zubaan pe swaad rakhna
Dil ke sandookon mein
Mere acche kaam rakhna
Chitthi taaron mein bhi
Mera tu salaam rakhna
Andhera tera maine le liya
Mera ujla sitaara tere naam kiya
Channa mereya mereya
Channa mereya mereya
Channa mereya mereya Beliya
O piya…
Channa mereya mereya
Channa mereya mereya
Channa mereya mereya Beliya
O piya…
Mmm… mehfil mein teri
Hum naa rahe jo
Gham toh nahi hai
Gham toh nahi hai
Qisse humaare nazdeeqiyon ke
Kam toh nahi hai
Kam toh nahi hai
Kitni dafaa, subah ko meri
Tere aangan me baithe
Maine shaam kiya
Channa mereya mereya
Channa mereya mereya
Channa mereya mereya Beliya
O piya…
Channa mereya mereya
Channa mereya mereya
Channa mereya mereya Beliya
O piya…
Tere rukh se apna raasta
Mod ke chalaa
Chandan hoon main
Apni khushboo chhod ke chala
Mann ki maaya rakh ke
Tere takiye tale
Bairagi, bairagi ka sooti chaula
Odh ke chalaa
Channa mereya mereya
Channa mereya mereya
Channa mereya mereya Beliya
O piya…
2. Tum Hi Ho in Aasiqi 2
Hum Tere Bin Ab Reh Nahi Sakte
Tere Bina Kya Wajood Mera
Hum Tere Bin Ab Reh Nahi Sakte
Tere Bina Kya Wajood Mera
Tujhse Juda Gar Ho Jaayenge
Toh Khud Se Hi Ho Jaayenge Judaa
Kyunki Tum Hi Ho
Ab Tum Hi Ho
Zindagi Ab Tum Hi Ho
Chain Bhi, Mera Dard Bhi
Meri Aashiqui Ab Tum Hi Ho
Tera Mera Rishta Hai Kaisa
Ik Pal Door Gawaara Nahi
Tere Liye Har Roz Hai Jeete
Tujh Ko Diya Mera Waqt Sabhi
Koi Lamha Mera Na Ho Tere Bina
Har Saans Pe Naam Tera
Kyunki Tum Hi Ho
Ab Tum Hi Ho
Zindagi Ab Tum Hi Ho
Chain Bhi, Mera Dard Bhi
Meri Aashiqui Ab Tum Hi Ho
Tumhi Ho... Tumhi Ho...
Tere Liye Hi Jiya Main
Khud Ko Jo Yun De Diya Hai
Teri Wafa Ne Mujhko Sambhala
Saare Ghamon Ko Dil Se Nikala
Tere Saath Mera Hai Naseeb Juda
Tujhe Paake Adhoora Naa Raha Hmm..
Kyunki Tum Hi Ho
Ab Tum Hi Ho
Zindagi Ab Tum Hi Ho..
Chain Bhi, Mera Dard Bhi
Meri Aashiqui Ab Tum Hi Ho
Kyunki Tum Hi Ho
Ab Tum Hi Ho
Zindagi Ab Tum Hi Ho..
Chain Bhi, Mera Dard Bhi
Meri Aashiqui Ab Tum Hi Ho
3. Phir Bhi Tumko Chahunga in Half Girlfriend
Tum mere ho iss pal mere ho
Kal shayad yeh aalam na rahe
Kuch aisa ho tum tum na raho
Kuch aisa ho hum, hum na rahein…
Yeh raaste alag ho jaaye
Chalte chalte hum kho jaayein…
Main phir bhi tumko chahunga…
Main phir bhi tumko chahunga
Main phir bhi tumko chahunga
Main phir bhi tumko chahunga
Iss chahat mein marr jaaunga
Main phir bhi tumko chahunga
Meri jaan mein har khamoshi le
Tere pyaar ke naghme gaaunga
Mmm…
Main phir bhi tumko chahunga
Main phir bhi tumko chahunga
Iss chahat mein marr jaaunga
Main phir bhi tumko chahunga
Aise zaroori ho mujhko tum
Jaise hawayein saanson ko
Aise talashun main tumko
Jaise ki per zameeno ko
Hansna ya rona ho mujhe
Paagal sa dhoondu main tumhe
Kal mujhse mohabbat ho na ho
Kal mujhko ijazat ho na ho
Toote dil ke tukde lekar
Tere darr pe hi reh jaaunga
Mmm…
Main phir bhi tumko chahunga
Main phir bhi tumko chahunga
Iss chahat mein marr jaaunga
Main phir bhi tumko chahunga
Tum yun mile ho jabse mujhe
Aur sunehari main lagti hoon
Sirf labon se nahi ab toh
Poore badan se hansti hoon
Mere din raat salone se
Sab hai tere hi hone se
Yeh saath hamesha hoga nahin
Tum aur kahin main aur kahin
Lekin jab yaad karoge tum
Main banke hawaa aa jaaunga
O…
Main phir bhi tumko chahunga
Main phir bhi tumko chahunga
Iss chahat mein marr jaunga
Main phir bhi tumko chahunga
Main phir bhi tumko chahunga
Main phir bhi tumko chahunga
4. Uska Hi Banana in The Evil returns 1920
Meri kismat ke har ek panneh pe
Mere jeete ji baad marne ke
Mere har ik kal har ik lamhe me
Tu likhde mera use
Har kahani me saare kisson me
Dil ki duniya ke sache rishton me
Zindagani ke saare hisson me
Tu likhde mera use
Ay khuda ay khuda jab bna uska hi banaaa
Ay khuda ay khuda jab bna uska hi banaaa
Uska hoon usme hoon usse hoon
usika rehne de
Main toh pyasa hoon hai
Dariya woh zariya woh jeene ka mere
Mujhe ghar de gali de shehar de usike naam ke
Kadamm ye chale ya ruke ab usi ke vaste
Dil mujhe de agar dard de uska par
Uski ho woh hasin gunje jo mera ghar
Ay khuda ay khuda jab bna uska hi banaaa
Ay khuda ay khuda jab bna uska hi banaaa
Mere hisse ki khushi ko hasin ko
Tu chaahe aadaha kar
Chahe lele tu meri zindagi par
Ye mujhse vaada kar
Uske isko pe gumon pe dukho pe har uske zakhm par
Haq mra he rahe har jaga har ghadi hay umar var
Ab fakht ho yahi woh rahe mujhme hi
Woh juda kehne ko bichdde na par kabhi
Ay khuda ay khuda jab bna uska hi banaaa
Ay khuda ay khuda jab bna uska hi banaaa
Meri kismat ke har ek panneh pe
Mere jeete ji baad marne ke
Mere har ik kal har ik lamhe me
Tu likhde mera use
Aye khuda aye khuda
Aye khuda aye khuda
5. Aayat in Bajirao Mastani
Tujhe yaad kar liya hai
Tujhe yaad kar liya hai
Aayat ki tarah
Kaayam tu ho gayi hai
Kaayam tu ho gayi hai
Rivayat ki tarah
Tujhe yaad kar liya hai
Marne talak rahegi
Marne talak rahegi
Tu aadat ki tarah
Tujhe yaad kar liya hai
O tujhe yaad kar liya hai
Aayat ki tarah
Ye teri aur meri
Mohabbat hayat hai
Har lamha isme jeena
Muqaddar ki baat hai
Kehti hai ishq duniya jise
Kehti hai ishq duniya jise
Meri jaan-e-mann
Iss ek lafz mein hi chhupi qaaynaat hai..
Mere dil ki raahaton ka tu
Zariya ban gayi hai
Teri ishq ki mere dil mein
Kayi Eid mann gayi hai
Tera zikr ho raha hai
Tera zikr ho raha hai
Ibaadat ki tarah
Tujhe yaad kar liya hai
O tujhe yaad kar liya hai
Aayat ki tarah
Hmm…
6. Raabta in Agent Vinod
Kehte ha khuda ne is jahaan me sabhi ke liye
Kissi naa kissi ko ha banaya har kisi ka liye
Tera milna hai uss rab ka ishaara maanu
Mujhko banaya tere jaise hi kisi ke liye
Kehte ha khuda ne is jahaan me sabhi ke liye
Kissi naa kissi ko ha banaya har kisi ka liye
Tera milna hai uss rab ka ishaara maanu
Mujhko banaya tere jaise hi kisi ke liye
Kuch toh hai tujhse raabta
Kuch toh hai tujhse raabta
Kaise hum jaane hume kya pata
Kuch toh hai tujhse raabta
Tu humsafar hai, phir kya fikar hai
Jine ki vwajah hi yahi marnaa isi ke liye
Kehte ha khuda ne is jahaan me sabhi ke liye
Kissi naa kissi ko ha banaya har kisi ka liye
Meharbaani jaate jaate mujh pe kar gaya
Guzarta sa lamha ek daaman bhar gaya
Tere nazara mila, roshan sitaara mila
Takdeer ki kashtiyon ko, kinara mila
Sadiyon se tarse hai jaisi zindagi ke liye
Teri sauhbat mein duaayein hain ussi ke liye
Tere milna hai uss rab ka ishaara
Manu mujko banaya tere hi jasey kisi ke liye
Kuch toh hai tujhse raabta
Kuch toh hai tujhse raabta
Kaise hum jaane hume kya pata
Kuch toh hai tujhse raabta
Tu humsafar hai, phir kya fikar hai
Jine ki vwajah hi yahi marnaa isi ke liye
Kehte ha khuda ne is jahaan me sabhi ke liye
Kissi naa kissi ko ha banaya har kisi ka liye
7. Ae Dil Hai Mushkil in Aye dil Hai Muskil
Tu safar mera
Hai tu hi meri manzil
Tere bina guzara
Ae dil hai mushkil
Tu mera khuda
Tu hi duaa mein shaamil
Tere bina guzara
Ae dil hai mushkil
Mujhe aazmaati hai teri kami
Meri har kami ko hai tu laazmi
Junoon hai mera
Banoon main tere qaabil
Tere bina guzaara
Ae Dil Hai Mushkil
Yeh rooh bhi meri
Yeh jism bhi mera
Utna mera nahi
Jitna hua tera
Tune diya hai jo
Woh dard hi sahi
Tujhse mila hai toh
Inaam hai mera
Mera aasmaan dhoondhe teri zameen
Meri har kami ko hai tu laazmi
Zameen pe na sahi
Toh aasmaan mein aa mil
Tere bina guzara
Ae dil hai mushkil
Maana ki teri maujoodgi se
Ye zindagani mehroom hai
Jeene ka koi dooja tareeka
Na mere dil ko maaloom hai
Tujhko main kitni
Shiddat se chaahun
Chaahe toh rehna tu be-khabar
Mohtaaj manzil ka toh nahi hai
Ye ek tarfa mera safar, safar
Khoobsurat hai manzil se bhi
Meri har kami ko hai tu laazmi
Adhura hoke bhi
Hai ishq mera kaamil
Tere bina guzara
Ae dil hai mushkil
8. Gerua in Dilwale
Dhoop se nikhal ke
Chaaon se phisal ke
Hum mile jahan par
Lamha tham gaya
Aasmaan pighal ke
Sheeshe mein dhalke
Jam gaya to tera chehra ban gaya
Duniya bhulake tumse mila hun
Nikli hai dilse ye duaa
Rang de tu mohe gerua
Ranjhe ki dil se hai duaa
Rang de tu mohe gerua
Haan nikli hai dil se ye dua
Ho rang de to mohe gerua
Ho tumse shuru tum pe fanaa
Hai sufiyaana yeh dastan
Main karwaan manzil ho tum
Jaata jaha ko har raasta
Tumse juda jo dil zara sambhalke
Dard ka wo sara kohra chhan gaya
Duniya bhulake tumse mila hoon
Nikli hai dil se yeh duaa
Rang de tu mohe gerua
Ho ranjhe ki dil se hai duaa
Rang de tu mohe gerua
Ho veeran tha dil ka jahaan
Jis dinse tu daakil hua
Ek jism se ik jaan ka
Tarja mujhe haasil hua
Haan phikke hai saare
Naate jahan ke
Tere sath rishta gehra ban gaya
Duniya bhula ke tumse mila hoon
Nikli hai dil se yeh duaa
Rang de tu mohe gerua
Ranjhe ki dil se hai duaa
Rang de tu mohe gerua
Haan nikli hai dil se yeh duaa
Ho rang de tu mohe gerua
9. Janam Janam in Dilwale
Janam janam janam sath chalna yunhi
Qasam tumhe qasam aake milna yahin
Ek jaan hai bhale do badan hon juda
Meri hoke humesha hi rehna
Kabhi na kehna alvida
Meri subha ho tumhi
Aur tumhi shaam ho
Tum dard ho tum hi aaram ho
Meri duaaon se aati hai bas yeh sadaa
Meri hoke humesha hi rehna
Kabhi na kehna alvida
Meri hoke humesha hi rehna
Kabhi na kehna alvida..
Teri baahon mein hain mere dono jahan
Tu rahe jidhar meri jannat wahin
Jal rahi agan hai jo yeh do tarfa
Na bujhe kabhi meri mannat yahi
Tu meri aarzoo main teri aashiqui
Tu meri shayari main teri mausiqui
Talab Talab Talab bas teri hai mujhe
Nason mein tu nasha banke ghulna yunhi
Meri mohabbat ka karna tu haq ye ada
Meri hoke humesha hi rehna
Kabhi na kehna alvida
Meri subha ho tumhi
Aur tumhi shaam ho
Tum dard ho tum hi aaram ho
Meri duaaon se aati hai bas yeh sadaa
Meri hoke humesha hi rehna
Kabhi na kehna alvida
10. Khamoshiyan in Khamoshiyan
Khamoshiyan aawaaz hain
Tum sun'ne to aao kabhi
Chhukar tumhe khill jaayengi
Ghar inko bulaao kabhi
Beqarar hain baat karne ko
Kehne do inko zaraa.
Khamoshiyan. teri meri khamoshiyan
Khamoshiyan. lipti hui khamoshiyan
Kya uss gali mein kabhi tera jaana hua
Jahaan se zamaane ko guzre zamaana hua
Mera samay toh wahin pe hai thehra hua
Bataaun tumhe kya mere sath kya kya hua
Khamoshiyan ek saaz hai
Tum dhun koi laao zaraa
Khamoshiyan alfaaz hain
Kabhi aa gunguna le zara
Beqarar hain baat karne ko
Kehne do inko zaraa. haa.
Khamoshiyan. teri meri khamoshiyan
Khamoshiyan. lipti hui khamoshiyan
Nadiya ka paani bhi khamosh behta yahaan
Khili chandani mein chhipi lakh khamoshiyan
Baarish ki boondon ki hoti kahaan hai zubaan
Sulagte dilon mein hai khamosh uthta dhuaan
Khamoshiyan aakaash hai
Tum udne toh aao zara
Khamoshiyan ehsaas hai
Tumhe mehsoos hoti hai kya
Beqarar hain baat karne ko
Kehne do inko zara. haa.
Khamoshiyan. teri meri khamoshiyan
Khamoshiyan. lipti hui khamoshiyan
11. Hamari Adhuri Kahani in Hamari Adhuri Kahani
Paas aaye..
Dooriyan phir bhi kam na hui
Ek adhuri si hamari kahani rahi
Aasman ko zameen, ye zaroori nahi
Jaa mile.. jaa mile..
Ishq sacha wahi
Jisko milti nahi manzilein.. manzilein..
Rang the, noor tha
Jab kareeb tu tha
Ek jannat sa tha, yeh jahan
Waqt ki ret pe kuch mere naam sa
Likh ke chhod gaya tu kahan
Hamari adhuri kahani..
Hamari adhuri kahani..
Humari adhoori kahani
Humari adhoori kahani
Khushbuon se teri yunhi takra gaye
Chalte chalte dekho na hum kahan aa gaye
Jannatein agar yahin
Tu dikhe kyon nahin
Chand suraj sabhi hai yahan
Intezar tera sadiyon se kar raha
Pyasi baithi hai kab se yahan
Humari adhoori kahani
Humari adhoori kahani..
Humari adhoori kahani
Humari adhoori kahani
Pyas ka ye safar khatam ho jayega
Kuch adhura sa jo tha poora ho jayega
Jhuk gaya aasman
Mill gaye do jahan
Har taraf hai milan ka samaa
Doliya hain saji, khushbuein har kahin
Padhne aaya Khuda khud yahan..
Hamari adhuri kahani
Hamari adhuri kahani..
Humari adhoori kahani
Humari adhoori kahani
12. Samjhawan in Humpty Swarma ki dulhania
Main tenu samjhawan ki
Na tere bina lagda jee
Main tenu samjhawan ki
Na tere bina lagda jee
Tu ki jaane pyaar mera
Main karoon intezar tera
Tu dil, tunhion jaan meri
Main tenu samjhawan ki
Na tere bina lagda jee
Tu ki jaane pyaar mera
Main karoon intezar tera
Tu dil, tunhion jaan meri
Main tenu samjhawan ki
Na tere bina lagda jee
Mere dil ne chun laiya ne
Tere dil diyan rahaan
Tu jo mere naal tu rehnta
Turpe meriyaan saaha
Jeena mera haye
Hun hai tera, ki main karaan
Tu kar eitbaar mera
Main karoon intezar tera
Tu dil, tunhion jaan meri!
Main tenu samjhawan ki
Na tere bina lagda jee
Ve changa nahion keeta beeba,
Ve changa nahion keeta beeba
Dil mera tod ke
Ve bada pachtaiyaan akhaan,
Ve bada pachtaiyaan akhaan
Naal tere jod ke
Tanu chd ke kitthe jawan tu mera parchawa
Tere mukhde vich hi main taan
Rabb nu apni pawaan
Meri duya haye, sajda tera, karti sada
Tu sun ekraar mera
Main karoon intezar tera
Tu dil, tunhion jaan meri
Main tenu samjhawan ki
Na tere bina lagda jee
13. Sooraj Dooba Hain in Roy
Matalbi ho ja zara matlabi
Duniya ki sunta hai kyun
Khud ki bhi sun le kabhi
Matalbi ho ja zara matlabi
Duniya ki sunta hai kyun
Khud ki bhi sun le kabhi
Kuch baat ghalat bhi ho jaaye
Kuch der ye dil bhi kho jaaye
Befikar dhadkane, iss tarah se chale
Shor goonje yahaan se wahaan
Sooraj dooba hai yaaron
Do ghoont nashe ke maaro
Raste bhula do saare gharbaar ke
Sooraj dooba hain yaaron
Do ghoont nashe ke maaro
Gham tum bhula do saare sansaar ke
Ask me for anything
I can give you everything
Raste bhula do saare gharbaar ke
Ask me for anything
I can give you everything
Gham tum bhula do saare sansaar ke
(ooo...)
Ataa pataa rahe na kisi ka humein
Yehi kahe ye pal zindagi ka humein
Ataa pataa rahe na kisi ka
Yehi kahe ye pal zindagi ka
Ki khudgarz si khwahish liye
Be-saans bhi hum-tum jiye
Hai gulaabi gulaabi samaa..
Suraj dooba hai yaaron
Do ghoont nashe ke maaro
Raste bhula do saare gharbaar ke
Suraj dooba hai yaaron
Do ghoont nashe ke maaro
Gham tum bhula do saare sansaar ke
Matalbi ho ja zara matlabi
Duniya ki sunta hai kyun..
Khud ki bhi sun le kabhi
Chale nahi ude aasmaan pe abhi..
Pata na ho hai jaana kahaan pe abhi..
Chale nahi ude aasmaan pe
Pata na ho hai jaana kahaan pe
Ki be-manzilein ho sab raaste
Duniya se hon zara faasle
Kuch khud se bhi ho dooriyaa
Sooraj dooba hai yaaron
Do ghoont nashe ke maaro
Raste bhula do saare gharbaar ke
Sooraj dooba hain yaaron
Do ghoont nashe ke maaro
Gham tum bhula do saare sansaar ke
Ask me for anything
I can give you everything
(ooo...)
Ask me for anything
I can give you everything
(ooo...)
14. Zaalima in Raees
Jo tere khatir tadpe pehle se hi
Kya usse tadpana
O zaalima o zaalima
Jo tere ishq mein behka pehle se hi
Kya usse behkana
O zaalima o zaalima
Ankhein marhaba
Baatein marhaba
Main sau martaba
Deewana hua
Mera na raha
Jab se dil mera
Tere husn ka
Nishana hua
Jiski har dhadkan tu ho aise
Dil ko kya dhadkana
O zaalima o zaalima
Saason mein
Teri nazdeekiyon ka
Ittar tu ghol de... ghol de
Main hi kyun
Ishq zaahir karun
Tu bhi kabhi bol de... bol de
Le ke jaan hi
Jayega meri
Kaatil har tera
Bahana hua
Tujhse hi shuru
Tujhpe hi khatam
Mere pyar ka
Fasana hua
Tu shamma hai toh yaad rakhna
Main bhi hoon parwana
O zaalima o zaalima
Deedaar tera milne ke baad hi
Chhote meri angdaayi
Tu hi bata de kyun zaalima
Main kehlaayi
15. Muskurane in City Lights
Muskurane ki wajah tum ho
Gungunane ki wajah tum ho
Jiya jaaye na, jaaye na, jaaye na..
O re piya re..
Jiya jaaye na, jaaye na, jaaye na..
O re piya re..
O re lamhe tu kahin mat jaa
Ho sake toh umr bhar tham jaa
Jiya jaaye na, jaaye na, jaaye naa..
O re piya re..
Jiya jaaye na, jaaye na, jaaye naa..
O re piya re.. piyaa re..
Dhoop aaye toh, chhaanv tum laana
Khwahishon ki baarishon mein
Bheeg sang jaana [x2]
Jiya jaaye na jaaye na jaaye na
O re piya re..
Jiya jaaye na jaaye na jaaye na
O re piya re.. piya re..
Jo mile usme kaat lenge hum
Thodi khushiyaan thode aansu baant lenge hum
Jo mile usme kaat lenge hum
Thodi khushiyaan thode aansu baant lenge hum
Jiya jaaye na jaaye na jaaye na
O re piya re..
Jiya jaaye na jaaye na jaaye na
O re piya re.. piya re..
Muskurane ki wajah tum ho
Gungunane ki wajah tum ho
Jiya jaaye na, jaaye na, jaaye na
O re piya re..
Jiya jaaye na, jaaye na, jaaye na
O re piya re.. piya re...
Piya re...
Wo o ho... oo...
0 Comments